Tuesday, May 8, 2012

Badalti Zindagi ki ye kahani...

Zindagi ki ye kitab bohat hi ajeeb hai..
phele hasati hai phir na jane ye khushi kaha ghum ho jaati hai...
aisi hi badalti zindagi ki hai ye ek kahani ...!

Zindagi k panne yuhi badalte gaye..
Hum yuhi apni raah chalte gaye
Har mod, har raah par mila koi aisa,
Laga to tha kuch kuch apne jaisa..

Uss apne k saath saath aayi thi khushi 
Apne har pal k saath saath layi thi ek pyari si hansi, 

Nahi jante the uss waqt 
kismat kya kya khel khelti hai,
zindagi k panno ki tarah 
kismat bhi har lamha badalti hai..

Sunna zarur tha kushiyan anmol hoti hai
waqt k saath saath unn kushiyon ka hisab bhi chukana padta hai..

Mann mein to thi ek aasha ki kiran ki
ye rishtein hi layenge kushiyon ki umang...

Par na jaane ye waqt kyu humse ruth gaya,
wo rishton ka dhaga kyu tut gaya

Unn anmol khushiyon ki kimat hum chukate reh gaye
Aakhon se aansu k tofe bahate reh gaye
mila na chaain aakhir tak isse
bus innhi khushiyon ki raah mein apne iss dil ko dukhate reh gaye...


-Shweta.



Thursday, October 13, 2011

Kahani Ek Ladki Ki....

Uljhane zindagi ki panno me kai baar aate hai ...
Aur ... aur , na jane kyu hume kaii sawalo k saath chod jaate hai...
Aise hi kuch sawalo se ghiri hai ye ek ladki ki kahani... jo in sawalo me kahi kho si gayi hai...


Na jaane kya chahti hu,
Kabhi durr to kabhi sab k saath rehna chahti hu..
Kyu inn uljhano ko samajh nahi paati
Kyu iss bechaini ko parakh nahi paati
Dusro ki pareshaniyo ko to jaan leti hu
Kyu kabhi khud ko pehchan nahi paati
Kyu maan me hamesha ek sawal rehta hai
Par chaah k bhi unn sawaloo ka hal nahi nikal paati hu....


Na jaane ye dil kya chahata hai,
Pata nahi kyu ek anjane sapne k peeche daura chala jaata hai ..
Jab dil ko lagta hai ki
Ha!... ha , shayad yahi hai wo sapna
Pata nahi kyu tabhi ruth jaata hai koi apna,
Ab to darr lagta hai kabhi kabhi apne sapno se
Lagta hai jaise mai jaa rahi kahi durr aapno se.....


- Shweta

Sunday, January 2, 2011

kuch sawal...

Na jane ye dil itne sawal kyu karta hai
hazaroo k bheed me bhi khud ko akela kyu mehsus karta hai ..
khud ko janne se katrata hai
kahin khud se hi nafrat na ho jaye shayad iss baat se ghabrata hai...

Na jane ye dil itne sawal kyu karta hai
jo kabhi na pure honge unhi sapno pe kyu marta hai
Na jane kyu hum kissi se dur jate hai..
jana hi ho kissi ko to phir kyu wo humare itne kareeb aa jate hai ...

Pyar karne se bhi darta hai ye dil
kahin mil gaya to wo kho na jaye iss baat se bhi darta hai ye dil..
Bikhre sapne bhaut rulate hai
par na jane kyu, na chahane par bhi wo iss dil ko yaad aate hai...

Na jane ye dil itne sawal kyu karta hai
roote waqt bhi un haseen lamho ko yaad karta hai
aur bus itni hi khwaish rehti hai iss dil ki..
" Kash! kash wo lamhe phir se jee lu.."



- Shweta

Sunday, January 3, 2010

true but...

life changes frquently and thats true
no matter how early or how slow it is...

It brings sadness as well as happiness thats true
no matter how long it stays..

Its like a puzzle which you tries to solve it ever now and then and thats true
no matter how difficult it is..

You have to fight against your destiny thats true
no matter how hard it tries to defeat you..

You will be lucky one day and thats true
no matter what your luck brings for you..

The sequence of the chapters of life is same ....thats true
no matter which book it is....


- Shweta