Thursday, October 13, 2011

Kahani Ek Ladki Ki....

Uljhane zindagi ki panno me kai baar aate hai ...
Aur ... aur , na jane kyu hume kaii sawalo k saath chod jaate hai...
Aise hi kuch sawalo se ghiri hai ye ek ladki ki kahani... jo in sawalo me kahi kho si gayi hai...


Na jaane kya chahti hu,
Kabhi durr to kabhi sab k saath rehna chahti hu..
Kyu inn uljhano ko samajh nahi paati
Kyu iss bechaini ko parakh nahi paati
Dusro ki pareshaniyo ko to jaan leti hu
Kyu kabhi khud ko pehchan nahi paati
Kyu maan me hamesha ek sawal rehta hai
Par chaah k bhi unn sawaloo ka hal nahi nikal paati hu....


Na jaane ye dil kya chahata hai,
Pata nahi kyu ek anjane sapne k peeche daura chala jaata hai ..
Jab dil ko lagta hai ki
Ha!... ha , shayad yahi hai wo sapna
Pata nahi kyu tabhi ruth jaata hai koi apna,
Ab to darr lagta hai kabhi kabhi apne sapno se
Lagta hai jaise mai jaa rahi kahi durr aapno se.....


- Shweta

Sunday, January 2, 2011

kuch sawal...

Na jane ye dil itne sawal kyu karta hai
hazaroo k bheed me bhi khud ko akela kyu mehsus karta hai ..
khud ko janne se katrata hai
kahin khud se hi nafrat na ho jaye shayad iss baat se ghabrata hai...

Na jane ye dil itne sawal kyu karta hai
jo kabhi na pure honge unhi sapno pe kyu marta hai
Na jane kyu hum kissi se dur jate hai..
jana hi ho kissi ko to phir kyu wo humare itne kareeb aa jate hai ...

Pyar karne se bhi darta hai ye dil
kahin mil gaya to wo kho na jaye iss baat se bhi darta hai ye dil..
Bikhre sapne bhaut rulate hai
par na jane kyu, na chahane par bhi wo iss dil ko yaad aate hai...

Na jane ye dil itne sawal kyu karta hai
roote waqt bhi un haseen lamho ko yaad karta hai
aur bus itni hi khwaish rehti hai iss dil ki..
" Kash! kash wo lamhe phir se jee lu.."



- Shweta